Posts

Showing posts from May, 2025

Sahaspur ka Aatish khana aur Qura'an ki Ayat

Har garmi ki chutti meiñ Nanajaan ke ghar bachpan se aana hota raha hai. Yahan ke dar-o-deewaar, taaqoñ, aatish khaanoñ se to bachpan se hi mānūs haiñ magar hamari is baār ki visit ne hameiñ qura'an ki ek āyat samjhne ka mauqā diya. Jab dopeher ka khana khā kar ham sab lambe kamre meiñ lete the tab achānak meri nazar ek aatish khane pe padi jisko maiñ angrezi lafz niche (neesh) ke naam se jaanti thi. Maine Ammi se pucha kya ap ko pata hai isko kya kehte haiñ. Unhone jawab diya ise Aatish khaane ya taaq bhi kaha jata hai. Maine pucha in ko banane ka kya maqsad hota tha. Ammi ne kaha isme charaagh jala kar rakhe jaate the.. Maine kaha charaagh to mehez ek machan (slab) pe bhi rakhe jaa sakte the taaq banane ki kya wajah hogi. Mere baar baar puchne par bhi ammi ne ek hi jawab diya. Phir maine ammi ko bataya ki iske bāre meiñ maine Nauman Ali Khan se suna tha. Is ka zikr Qura'an ki surat Nūr meiñ aayā hai. Jahañ Allah taala farmāte haiñ ki Allah ke Nūr (hidayat) kis misaal aesi hai...